dar-o-rasan ne kis ko chuna dekhte chalen
ye kaun sar-buland hua dekhte chalen
aaega phir chaman pe tasarruf ka waqt bhi
pahle qafas ki aab-o-hawa dekhte chalen
jate the hum to pher ke munh jalwa-gah se
lekin dil o nazar ne kaha dekhte chalen
han ek nazar 'hafiz' pe ibrat ke waste
kya rah gai hai qadr-e-wafa dekhte chalen
Ghazal
Dar-o-rasan ne kis ko chuna dekhte chalen
Hafeez Merathi