اردو हिंदी
Danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha | Shaahi Shayari
danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha

Ghazal

Danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha

Qaisar-ul-Jafri

;

danishwaron ke bas mein ye radd-e-amal na tha
main aisi tegh le ke uTha jis mein phal na tha

kya dard TuT TuT ke barsa hai raat bhar
itna ghubar to mere chehre pe kal na tha

pathraw kar raha hai wo KHud apni zat par
kya dil ke masale ka koi aur hal na tha

shaKHen ladi hui thin to patthar na tha nasib
patthar paDe mile to daraKHton mein phal na tha

shab ki hawa se haar gai mere dil ki aag
yaKH-basta shahr mein koi radd-o-badal na tha

ab ek ek harf se chhanti hai raushni
tum se mile na the to ye husn-e-ghazal na tha

'qaisar'! zamir-e-waqt ko dekha kured ke
sadiyan rakhi thin dosh pe muTThi mein pal na tha