daman pe lahu hath mein KHanjar na milega
mil jaega phir bhi wo sitamgar na milega
patthar liye hathon mein jise DhunD raha hai
wo tujh ko teri zat se bahar na milega
aankhon mein basa lo ye ubharta hua suraj
din Dhalne lagega to ye manzar na milega
main apne hi ghar mein hun magar soch raha hun
kya mujh ko mere ghar mein mera ghar na milega
guzro kisi basti se zara bhes badal kar
naqshe mein tumhein shahr-e-sitamgar na milega
Ghazal
Daman pe lahu hath mein KHanjar na milega
Ameer Qazalbash