daman-e-dil pe nahin barish-e-ilham abhi
ishq na-puKHta abhi jazb-e-darun KHam abhi
KHud hi jhukta hun ki dawa-e-junun kya kijiye
kuchh gawara bhi hai ye qaid-e-dar-o-baam abhi
ye jawani to abhi mail-e-paikar nahin
ye jawani to hai ruswa-e-mai-o-jam abhi
waiz o shaiKH ne sar joD ke badnam kiya
warna badnam na hoti mai-e-gulfam abhi
main ba-sad-faKHriya zuhhad se kahta hun 'majaz'
mujh ko hasil, sharf-e-baiat-e-KHayyam abhi
Ghazal
Daman-e-dil pe nahin barish-e-ilham abhi
Asrar-ul-Haq Majaz