اردو हिंदी
Daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah | Shaahi Shayari
daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah

Ghazal

Daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah

Nazeer Akbarabadi

;

daman-o-kanar ashk se kab tar na hue aah
do chaar bhi aansu mere gauhar na hue aah

jaise ki dil un lala-azaron ke hain sangin
dil chahne walon ke bhi patthar na hue aah

kahte hain ki nikla hai wo ab sair-e-chaman ko
kya waqt hai is waqt mere par na hue aah

KHuban ke to hum fidwi o banda bhi kahae
lekin wo hamare na hue par na hue aah

kya tafraqa hai jab ki gae hum to na tha wo
aur aaya wo hum pas to hum ghar na hue aah

kya naqs hai us ghairat-e-KHurshid ke aage
hum lal to kab hote hain aKHgar na hue aah

dariya bhi bahe mai ke par ai baada-parastan
ye KHushk wo lab hain ki kabhi tar na hue aah

dekh us ko 'nazir' ab mujhe aata hai yahi rashk
kyun hum bhi usi tarah ke dilbar na hue aah