dagh-e-gham-e-firaq miTaya na jaega
jalta hua charagh bujhaya na jaega
insaf apna dawar-e-mahshar se ho to ho
qaziya kisi se dil ka chukaya na jaega
roko na chashm-e-shoKH ko meri taraf se tum
aankhen hain dil nahin ki milaya na jaega
hai dil mein un ke ghair ki surat basi hui
dil mein bhi ab to un ko biThaya na jaega
hai teri yaad dil mein mare naqsh-kal-hajar
dil se tera KHayal miTaya na jaega
'saqi' hai tum ko milne ki jis gul ki aarzu
us se sar-e-mazar bhi aaya na jaega
Ghazal
Dagh-e-gham-e-firaq miTaya na jaega
Pandit Jawahar Nath Saqi