dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya
main ne chaha bhi magar tum ko bhulaya na gaya
umr bhar yun to zamane ke masaib jhele
teri nazron ka magar bar uThaya na gaya
ruThne walon se itna koi ja kar puchhe
KHud hi ruThe rahe ya hum se manaya na gaya
phul chunna bhi abas sair-e-bahaaran bhi fuzul
dil ka daman hi jo kanTon se bachaya na gaya
us ne is tarah mohabbat ki nigahen Dalin
hum se duniya ka koi raaz chhupaya na gaya
thi haqiqat mein wahi manzil-e-maqsad 'jazbi'
jis jagah tujh se qadam aage baDhaya na gaya
Ghazal
Dagh-e-gham dil se kisi tarah miTaya na gaya
Moin Ahsan Jazbi