dard-e-dil jab kabhi ayan hoga
karb chehre se bhi bayan hoga
dil ke arman bujh gae sare
ab to har samt bas dhuan hoga
meri hi aankhen jab samundar hain
KHun bhi mera hi rawan hoga
us jahan mein to jaane kal kya ho
is jahan mein mera makan hoga
meri aankhon mein jo basa hai 'sahar'
kal na jaane kidhar kahan hoga

Ghazal
Dard-e-dil jab kabhi ayan hoga
Ramzan Ali Sahar