chur the log jo sangini-e-hijrat se yahan
sans bhi aata nahin un ko suhulat se yahan
wo kisi phul kisi ghunche ke haqdar nahin
dasht gulzar banate hain jo mehnat se yahan
chogha pahnaya gaya jhuT ka sachchai ko
aur maani liye nafrat ke mohabbat se yahan
hum ne buniyaad rakhi zahr-bujhe sajdon ki
tegh ka kaam liya hum ne ibaadat se yahan
hath haalat ne Dale hain garebanon mein
zindagi kaise guzare koi izzat se yahan
peT pe bandha gaya sabr ka bhaari patthar
aur guzara gaya har lamha mashaqqat se yahan
sahab-e-mimbar-o-mehrab bhi kya bhuka hai
peT ki aag bujhata hai shariat se yahan
sans chubhta raha kanTe ki tarah dil mein 'nabil'
jism Dhalte rahe chhaalon mein aziyyat se yahan

Ghazal
Chur the log jo sangini-e-hijrat se yahan
Nabeel Ahmad Nabeel