اردو हिंदी
Churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se | Shaahi Shayari
churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se

Ghazal

Churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se

Ijtiba Rizvi

;

churane ko chura laya main jalwe ru-e-raushan se
magar ab bijliyan lipTi hui hain dil ke daman se

tanawwo kuchh to ho ai bulbul-e-kam-zauq matam kya
agar tamir-e-sahra ho gai taKHrib gulshan se

mujhe kuchh tajrabe har rang ke jholi mein rakh chalna
musafir hun gharaz kya hai mujhe sahra o gulshan se

mujhe har karwan se chhuTna is bad-gumani mein
ki shayad rahbar ko rabt-e-pinhani ho rahzan se

mazaq-e-jazb-e-baatin gum hai ab tazin-e-zahir mein
ye tifl-e-dasht-e-aiman ghaT gaya tahzib-e-gulshan se