choT nai hai lekin zaKHm purana hai
ye chehra kitna jaana-pahchana hai
sari basti chup ki dhund mein Dubi hai
jis ne lab khole hain wo diwana hai
aao us suqraat ka istiqbaal karen
jis ne zahr ke ghunT ko amrit jaana hai
ek ek kar ke sab panchhi dam toD gae
bhari bahaar mein bhi gulshan virana hai
apna paDaw dasht-e-wafa be-ab-o-giyah
tum ko to do chaar qadam hi jaana hai
kal tak chahat ke aanchal mein lipTa tha
aaj wo lamha KHwab hai ya afsana hai
Ghazal
ChoT nai hai lekin zaKHm purana hai
Parveen Fana Syed