chob-e-sahra bhi wahan rashk-e-samar kahlae
hum KHizan-baKHt shajar ho ke hajar kahlae
hum tah-e-KHak kiye jaan ka araq un ke liye
aur pas-e-rah-e-wafa gard-e-safar kahlae
un ki poron mein sitare bhi hain angare bhi
wo sadaf jism hue aatish-e-tar kahlae
apni rahon ka gulistan lage virana
un ki dahliz ki miTTi bhi guhar kahlae
jin ki KHairaat se lamhon ki lawen jagti hain
shab-nizhadon mein wahi dast-nigar kahlae
un ke katbe pe yahi waqt ne likkha hai ki wo
raushni banTte the tira-nazar kahlae
wo to diwaron mein chunta hai zamane ka zamir
hum hi kya sang-e-sar-e-rahguzar kahlae
'shad' be-sarfa gaya umr ka sarmaya-e-harf
hum ki the jaan-e-sada gung-e-hunar kahlae
Ghazal
Chob-e-sahra bhi wahan rashk-e-samar kahlae
Ata Shad