chiKHti gati hawa ka shor tha
jism tanha jaane kya socha kiya
makDiyon ne jab kahin jala tana
makkhiyon ne shor barpa kar diya
wo KHushi ke raste ka moD tha
main bagula ban ke rasta khojta
main daraKHton se KHushi ka rasta
jangalon mein ab chalunga puchhta
apne hathon se sitare toD kar
main jalaunga ghaTaon mein diya
har taraf to uD rahi hai dhul si
aankh apni main kahan tak mundta
Ghazal
ChiKHti gati hawa ka shor tha
Sahil Ahmad