chhuTe ye dhund nazar aae abr-para koi
tumhaare nam ka chamke kahin sitara koi
bhaDak uThenge agar hum baDa ghazab hoga
hamara rakh mein DhunDo na tum sharara koi
tumhaare sher mein kyun bu-e-raftagan hai bahut
tumhaare baad hi samjha ye istiara koi
hui thi dosti jis se wo kar gaya hijrat
hamara nafa mein yun dekh le KHasara koi
wo apni sari imarat ko tyag de ke gaya
kahan se kis ne kiya sochiye ishaara koi
teri zamin mein likkhe hain sher tere liye
teri zamin pe nahin hai mera ijara koi
na jaane kyun mujhe chubhta hai aaj-kal 'hamdam'
meri hi aankh se likkha hua nazara koi
Ghazal
ChhuTe ye dhund nazar aae abr-para koi
Hamdam Kashmiri