اردو हिंदी
Chhupe hue the jo naqd-e-shuur ke Dar se | Shaahi Shayari
chhupe hue the jo naqd-e-shuur ke Dar se

Ghazal

Chhupe hue the jo naqd-e-shuur ke Dar se

Riaz Majeed

;

chhupe hue the jo naqd-e-shuur ke Dar se
nikal sake na wo jazbaat mere andar se

kabhi bhi shahr-e-tilismat-e-dil ki sair na ki
har ek jalwa liya mustaar bahar se

rahe hum apni hi gahraiyon se na-waqif
utar saki na kabhi kai sath-e-dil par se

sukun ki jannaten dozaKH nahin aziyyat ka
ajib haal hua aagahi ke mahshar se

hamari bachchon si masumiyat hui zaKHmi
lahuluhan hua dil KHirad ke patthar se

nazar se dekh lo hum ret ke gharondon ko
hamein na chhuo ki hum khokhle hain andar se

hamari koshish-e-be-sud us ko kya pati
husul jis ka tha mumkin faqat muqaddar se

'riyaz' sham Dhali ab to ghar ko lauT chalo
tulu-e-subh se pahle ke nikle ho ghar se