chhup ke us ne jo KHud-numai ki
intiha thi ye dilrubai ki
mail-e-ghamza hai wo chashm-e-siyah
ab nahin KHair parsai ki
hum se kyunkar wo aastana chhuTe
muddaton jis pe jabha-sai ki
dil ne barson ba-justuju-e-kamal
kucha-e-ishq mein gadai ki
dam se un ke chhuTna to kahan
yan hawas bhi nahin rihai ki
kya kiya ye ki ahl-e-shauq ke sath
tu ne ki bhi to bewafai ki
ho ke nadim wo baiThe hain KHamosh
sulh mein shan hai laDai ki
us taghaful-shiar se 'hasrat'
hum mein taqat nahin judai ki
Ghazal
Chhup ke usne jo KHud-numai ki
Hasrat Mohani