chhup ke milne aa jae raushni ki jurat kya
ruh ke andhere mein chand ki zarurat kya
tu meri mohabbat ke qatl mein mulawwis hai
aur mujhi se kahta hai KHun ki shahadat kya
kaun meri aankhon ke band toD deta hai
dil ke qaid-KHane mein qaid hai qayamat kya
ek dusre ko hum bhul jaenge ek din
itni be-qarari kyun is qadar bhi ujlat kya
raat se bichhaDne ke KHwab dekh rakkhe hain
subh raste mein hai KHwab ki hifazat kya
ek waqt aata hai munsifi nahin milti
jhuT ki wakalat kya KHauf ki adalat kya
zulm sahne walon ka sabr KHatm hota hai
sirf ek dhamki hai phailti hai dahshat kya
Ghazal
Chhup ke milne aa jae raushni ki jurat kya
Saqi Faruqi