chhoDo ab us charagh ka charcha bahut hua
apna to sab ke hathon KHasara bahut hua
kya be-sabab kisi se kahin ubte hain log
bawar karo ki zikr tumhaara bahut hua
baiThe rahe ki tez bahut thi hawa-e-shauq
dasht-e-hawas ka garche irada bahut hua
aaKHir ko uTh gae the jo ek baat kah ke hum
sunte hain phir usi ka iada bahut hua
milne diya na us se hamein jis KHayal ne
socha to is KHayal se sadma bahut hua
achchha to ab safar ho kisi aur samt mein
ye roz-o-shab ka jagna sona bahut hua
Ghazal
ChhoDo ab us charagh ka charcha bahut hua
Ahmad Mahfuz