chhoD mawa-e-zaqan zulf-e-pareshan mein phansa
misl-e-yusuf main nikal chah se zindan mein phansa
sail-e-ashk aaj ruki aankh se girte hi magar
phir kai laKHt-e-jigar dida-e-giryan mein phansa
kuchh bhi waqfa ho to gulshan se le aaen sayyaad
rah gaya hai dil-e-gham-kash gul o raihan mein phansa
khinch daman rakhen hum yar ko kis tarah ki hath
ek to dil pe hai aur ek gareban mein phansa
ai ki chahe hai tu diwan ko 'qaem' ke to dekh
kahin hoga kisi KHummar ki dukkan mein phansa
Ghazal
ChhoD mawa-e-zaqan zulf-e-pareshan mein phansa
Qayem Chandpuri