اردو हिंदी
ChhoD kar mujhko kahin phir usne kuchh socha na ho | Shaahi Shayari
chhoD kar mujhko kahin phir usne kuchh socha na ho

Ghazal

ChhoD kar mujhko kahin phir usne kuchh socha na ho

Hakeem Manzoor

;

chhoD kar mujh ko kahin phir us ne kuchh socha na ho
main zara dekhun wo agle moD par Thahra na ho

main bhi ek patthar liye tha buz-dilon ki bhiD mein
aur ab ye Dar hai us ne mujh ko pahchana na ho

hum kisi bahrupiye ko jaan len mushkil nahin
us ko kya pahchaniye jis ka koi chehra na ho

us ko alfaz-o-maani ka tasadum kha gaya
ab wo yun chup hai ki jaise muddaton bola na ho

dandnata yun phire hai shahr ki saDkon pe wo
jaise pure shahr mein koi bhi aaina na ho

log kahte hain abhi tak hai wo sargarm-e-safar
mujh ko andesha kahin wo rah mein soya na ho

mujh ko ai 'manzur' yun mahsus hota hai kabhi
jaise sab apne hon jaise koi bhi apna na ho