chhoD kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein
ek tamasha ban ke aa baiTha hun ku-e-yar mein
dam nikal jaega hasrat se na dekh ai naKHuda
ab meri qismat pe kashti chhoD de manjdhaar mein
dekh bhi aa baat kahne ke liye ho jaegi
sirf ginti ki hain sansen ab tere bimar mein
fasl-e-gul mein kis qadar manhus hai rona mera
main ne jab nale kiye bijli giri gulzar mein
jal gaya mera nasheman ye to main ne sun liya
baghban to KHairiyat se hai saba gulzar mein
Ghazal
ChhoD kar ghar-bar apna hasrat-e-didar mein
Qamar Jalalvi