اردو हिंदी
ChhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein | Shaahi Shayari
chhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein

Ghazal

ChhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein

Mohammad Ahmad Ramz

;

chhoD gaya wo naqsh-e-hunar apna tughyani mein
ek shanawar tha jo utra gahre pani mein

phaila hua tha dam-e-falak bhi aaina-surat
us ne bhi parwaz bhari thi kuchh hairani mein

dud-e-charagh-e-subh mein jaise sahmi simTi raat
raushan hai fani manzar us ka la-fani mein

thaki thaki aankhon mein pareshan us ka KHwab-e-visal
hijr ki lambi raat kaTi bas ek kahani mein

saya-e-arz-o-talab ko raunda us ne pairon se
us ki ana ka suraj tha us ki peshani mein

ab us ke izhaar ko dena chahe jo bhi nam
us ko jo kahna tha kah gaya apni bani mein

ek ek kar ke 'ramz' bujhe jate hain sare charagh
main hun apna KHauf apni baDhti virani mein