chhanw auron ke liye hai to samar auron ke
kaam aate hain hamesha hi shajar auron ke
wo hai aaina use fikr ho kyun kar apni
wo batata hai faqat aib-o-hunar auron ke
jang maidan se kamron mein simaT aai hai
ghar na jaana kabhi be-KHauf-o-KHatar auron ke
ahd-e-nau teri siyasat ka karam hai ki yahan
jism apne hain magar jismon pe sar auron ke
baKHshne wale hamein baKHsh de apni taqat
ab na rahe paenge hum dast-nigar auron ke
mujh ko apnon ne wo tabiren ata ki hain ki aaj
KHwab palkon pe sajata hun magar auron ke
ye bhi kya baat ki har sans ho KHud se mansub
zindagi nam hi karna hai to kar auron ke

Ghazal
Chhanw auron ke liye hai to samar auron ke
Shahid Jamal