chehron pe zar-posh andhere phaile hain
ab jine ke Dhang baDe hi mahnge hain
hathon mein suraj le kar kyun phirte hain
is basti mein ab dida-war kitne hain
qadron ki shab-rezi par hairani kyun
zehnon mein ab kale suraj palte hain
har bhare jangal kaT kar ab shahr hue
banjare ki aankhon mein sannaTe hain
phulon wale Tapu to gharqab hue
aag agle nae jazire ubhre hain
us ke bosida-kapDon par mat jao
mast qalandar ki jholi mein hire hain
zikr karo ho mujh se kya tughyani ka
sahil par hi apne rain basere hain
is wadi ka to dastur nirala hai
phul saron par kankar patthar Dhote hain
'amabar' lakh sawa pankhi mausam aaen
olon ki zad mein anmol parinde hain
Ghazal
Chehron pe zar-posh andhere phaile hain
Ambar Bahraichi