chehron mein nazar aaen aankhon mein utar jaen
hum tujh se juda ho kar har samt bikhar jaen
din bhar ki mashaqqat se thak haar ke ghar jaen
aur apni hi dastak ki aawaz se Dar jaen
achchha hai ki hum apne hone se mukar jaen
ya apni KHabar de kar chupke se guzar jaen
jis shahr bhi hum jaise barbaad-e-nazar jaen
auraq musawwir ke taswir se bhar jaen
uDte hue patton ne mausam ki KHabar di hai
hum phir se sanwarne ko ek bar bikhar jaen
phulon ki qaba pahnen KHwabon ki dhanak oDhen
hum qarya-e-jaanan mein kyun KHak-basar jaen
Ghazal
Chehron mein nazar aaen aankhon mein utar jaen
Shaheen Gazipuri