chehre pe chamchamati hui dhup mar gai
suraj ko Dhalta dekh ke phir sham Dar gai
mabhut se khaDe rahe sab bas ki line mein
kulhe uchhaalti hui bijli guzar gai
suraj wahi tha dhup wahi shahr bhi wahi
kya chiz thi jo jism ke andar ThiThar gai
KHwahish sukhane rakkhi thi koThe pe dopahar
ab sham ho chali miyan dekho kidhar gai
tahlil ho gai hai hawa mein udasiyan
KHali jagah jo rah gai tanhai bhar gai
chehre baghair nikla tha us ke makan se
ruswaiyon ki had se bhi aage KHabar gai
rangon ki surKH naf dakhiliya gul-aftab
andhi hawaen KHar khaTak kan bhar gai
Ghazal
Chehre pe chamchamati hui dhup mar gai
Adil Mansuri