chehra salim na nazar hi qaem
be-sutun sab ki haweli qaem
hath se maujon ne rakh di patwar
kaise dhaare pe hai kashti qaem
zist hai kachche ghaDe ke manind
bahte pani pe hai miTTi qaem
sae diwar ke TeDhe tirchhe
aur diwar ki sidhi qaem
sab hain TuTi hui qadron ke khanDar
kaun hai waza pe apni qaem
KHud ko kis sath par zinda rakkhun
lafz daim hain na mani qaem
hai baDi baat jo rah jae 'faza'
sath-e-sanjida-nigahi qaem
Ghazal
Chehra salim na nazar hi qaem
Faza Ibn e Faizi