chaunka hai aaj yun tera diwana KHwab mein
jaise ki mil gaya koi virana KHwab mein
likhna hai pichhle din ka bhi afsana KHwab mein
ai hone wali subh na aa jaana KHwab mein
din-bhar ki mushkilat ki duni saza mili
bedariyon ka KHwab hai dohrana KHwab mein
hum ko gham-e-jahan ne dilase bahut diye
bahlana jagte mein to samjhana KHwab mein
subh-e-subu-ba-dast se ab ke milenge hum
dar-o-rasan pe aae hain rindana KHwab mein
shayad ki aaj gardan-e-saqi mein hath hon
chhina hai ek shaKHs se paimana KHwab mein

Ghazal
Chaunka hai aaj yun tera diwana KHwab mein
Karrar noori