اردو हिंदी
Chaudhwan us chandar ka sal hua | Shaahi Shayari
chaudhwan us chandar ka sal hua

Ghazal

Chaudhwan us chandar ka sal hua

Sadruddin Mohammad Faez

;

chaudhwan us chandar ka sal hua
husn mein badr ba-kamal hua

tujh sa chanchal nahin zamane mein
ram mein ai man hiran ghazal hua

bagh-e-dil mein tu naKHl-e-tuba hai
sarw tujh qad se paemal hua

raat din tu rahe raqiban-sang
dekhna tera mujh muhaal hua

dekh kar tujh nayan ki shoKHi kun
thak ke sahra-nashin ghazal hua

murgh-e-dil ke phansane ko mere
dana-o-dam zulf o KHal hua

zulf ki har shikan mein tujh mera
dil giraftar baal baal hua