chaTTan ke saye mein khaDa soch raha hun
main aab-e-rawan kis ke liye Thahr gaya hun
pani mein chamakta hai koi mehrban saya
shaffaf samundar hon use chum raha hun
patthar ne pukara tha main aawaz ki dhun mein
maujon ki tarah chaaron taraf phail gaya hun
ek sip to le aaya tha pani mein utar kar
mana ki use ret pe ab phenk chuka hun
sahra-e-hawas apni taraf khinch raha hai
main andhe samundar ki taraf dekh raha hun
Ghazal
ChaTTan ke saye mein khaDa soch raha hun
Abdur Rahim Nashtar