chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-dari de
dil-e-awara ko paigham-e-giraftari de
ishq hai sada-o-masum use apni tarah
jauhar-e-tegh-e-ada KHanjar-e-ayyari de
jo dukhe dil hain unhen daulat-e-darman ho ata
dard ke hath mein mat kasa-e-nadari de
kitni farsuda hai ye jurm-o-saza ki duniya
sar-kashi dil ko naya zauq-e-gunahgari de
shaKH-e-gul kab se hai sine mein chhupae hue gul
dekhen kab baad-e-saba hukm-e-chaman-kari de
ai mere shoala-e-dil shoala-e-sher-o-danish
raat aaKHir hai use jashn-e-sharar-bari de
chaman afsurda hai ai jaan-e-chaman ruh-e-bahaar
gul ko bhi apne tabassum ki fusun-kari de
Ghazal
Chashma-e-bad-mast ko phir shewa-e-dil-dari de
Ali Sardar Jafri