اردو हिंदी
Chashm-e-zahir se ruKH-e-yar ka parda dekha | Shaahi Shayari
chashm-e-zahir se ruKH-e-yar ka parda dekha

Ghazal

Chashm-e-zahir se ruKH-e-yar ka parda dekha

Hasan Barelvi

;

chashm-e-zahir se ruKH-e-yar ka parda dekha
aankhen jab phuT gain tab ye tamasha dekha

dekhna ye hai ki hum ne tumhein kaisa chaha
puchhna ye hai ki tum ne hamein kaisa dekha

phir jalaoge kabhi talib-e-didar ka KHat
saikDon aankhon se us ne tumhein dekha dekha

kan wo kan hai jis ne teri aawaz suni
aankh wo aankh hai jis ne tera jalwa dekha

aap kahte hain ki ja dekh liya dil tera
kahiye to apne siwa dil mein mere kya dekha

tum KHabar bhi na hue KHana-ba-doshon se kabhi
hum ne ghar phunk diya sab ne tamasha dekha

jin se hon soKHta-jaanon ke kaleje ThanDe
unhin jalwon se 'hasan' tur ko jalta dekha