chashm-e-tar jam dil-e-baada-kashan hai shisha
mohtasib aaj kidhar jam kahan hai shisha
bazm-e-saqi mein jo aawaz nahin qulqul ki
is qadar aaj ye kyun pamba-dahan hai shisha
mohtasib sang liye hath mein aur su-e-falak
dam-ba-dam chashm-e-dahan se nigaran hai shisha
panw rakhta hi nahin naz se baala-e-zamin
kaf-ba-kaf bazm mein saqi ki rawan hai shisha
hai tarawish mein 'baqa' is se mai-e-nab-suKHan
hai baja kahiye agar apna dahan hai shisha

Ghazal
Chashm-e-tar jam dil-e-baada-kashan hai shisha
Baqaullah u0027Baqau0027