chashm-e-tar hai koi sarab nahin
dard-e-dil ab koi azab nahin
kaise is baat par yaqin kar lun
tu haqiqat hai koi KHwab nahin
mausam-e-gul ka zikr rahne de
ye meri baat ka jawab nahin
tu agar gham se ajnabi hai to
haal apna bhi ab KHarab nahin
man leta hun main nahin majnun
tera ruKH bhi to mahtab nahin
kya karun husn ka tasawwur ab
tere chehre pe jab naqab nahin
der pahchanne mein pal bhar ki
ye koi bais-e-iztirab nahin
umr guzri hai mazarat karte
ghaflaten meri be-hisab nahin

Ghazal
Chashm-e-tar hai koi sarab nahin
Sandeep Koul Nadim