chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe
maut insan ko lazim hai sada yaad rahe
mera KHun hai tere kuche mein baha yaad rahe
ye baha wo nahin jis ka na baha yaad rahe
kushta-e-zulf ke marqad pe tu ai laila-wash
bed-e-majnun hi laga ta-ki pata yaad rahe
KHaksari hai ajab wasf ki jun jun ho siwa
ho safa aur dil-e-ahl-e-safa yaad rahe
ho ye labbaik-e-haram ya ye azan-e-masjid
mai-kasho qulqul-e-mina ki sada yaad rahe
yaad us wada-faramosh ne ghairon se badi
yaad kuchh kam to na thi aur siwa yaad rahe
KHat bhi likhte hain to lete hain KHatai kaghaz
dekhiye kab tak unhen meri KHata yaad rahe
do waraq mein kaf-e-hasrat ke do aalam ka hai ilm
sabaq-e-ishq agar tujh ko dila yaad rahe
qatl-e-ashiq pe kamar bandhi hai ai dil us ne
par KHuda hai ki use nam mera yaad rahe
taer-e-qibla-numa ban ke kaha dil ne mujhe
ki taDap kar yun hi mar jaega ja yaad rahe
jab ye din-dar hain duniya ki namazen paDhte
kash us waqt unhen nam-e-KHuda yaad rahe
hum pe sau bar jafa ho to rakho ek na yaad
bhul kar bhi kabhi howe to wafa yaad rahe
mahw itna bhi na ho ishq-e-butan mein ai 'zauq'
chahiye bande ko har waqt KHuda yaad rahe
Ghazal
Chashm-e-qatil hamein kyunkar na bhala yaad rahe
Sheikh Ibrahim Zauq