اردو हिंदी
Chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale | Shaahi Shayari
chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale

Ghazal

Chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale

Shahid Kamal

;

chashm-e-KHush-ab ki tamsil mein rahne wale
hum parinde hain isi jhil mein rahne wale

hum ko ras aati nahin kucha-e-jaanan ki hawa
hum hain alfaz ki tahwil mein rahne wale

kitne aashob gazida se nazar aate hain
usrat-e-KHana-e-takmil mein rahne wale

apne alfaz se tajsim karunga tujh ko
mujh pe wa ho meri taKHil mein rahne wale

wusat-e-zaKHm ka tujh ko bhi nahin andaza
ai mere zaKHm ki tawil mein rahne wale

kis liye karte ho tum harf-e-malamat se gurez
hum kahan sohbat-e-jibril mein rahne wale

mere lafzon ko bhi dete hain wo aayat-e-shifa
han wahi hurmat-e-injil mein rahne wale

ja tujhe 'shahid' zi-jah ne aazad kiya
ai mere hukm ki tamil mein rahne wale