اردو हिंदी
Charagh ki oT mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka | Shaahi Shayari
charagh ki oT mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka

Ghazal

Charagh ki oT mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka

Ghulam Husain Sajid

;

charagh ki oT mein ruka hai jo ek hayula sa yasmin ka
ye rang hai aur aasman ka ye phul hai aur hi zamin ka

mere irade pe munhasir hai ye dhup aur chhanw ka Thaharna
ki ek saat kisi guman ki hai ek lamha kisi yaqin ka

mujhe yaqin hai zamin apne madar par ghumti rahegi
ki ab sitaron ke paniyon mein bhi aks hai KHak ke makin ka

main jin ke ham-rah chal raha hun wo sab isi KHak ki numu hain
magar jo mere wajud mein hai wo KHwab hai aur hi kahin ka

jo mere KHun mein bhaDak rahi hai wo mishal-e-KHwab hai kahan ki
jo meri aankhon mein bas gaya hai wo chand hai kaun si jabin ka

main raat ke ghaT par utar kar kisi sitare mein Dub jata
magar mere ru-ba-ru dhara hai ye aaina subh-e-nilmin ka

so ab ye jiwan ki naw shayad kisi kinare se ja lagegi
ki ab to pani ki sath par bhi guman hone laga zamin ka