اردو हिंदी
Charagh ki oT mein hai mehrab par sitara | Shaahi Shayari
charagh ki oT mein hai mehrab par sitara

Ghazal

Charagh ki oT mein hai mehrab par sitara

Ghulam Husain Sajid

;

charagh ki oT mein hai mehrab par sitara
ruka hua hai abhi gul-e-KHwab par sitara

ye kis rawani mein Dubti ja rahi hain aankhen
chamak raha hai ye kyun ruKH-e-ab par sitara

ruki hui hai zamin pani ke mintaqe par
Thahar gaya hai nigah-e-betab par sitara

kahin meri dhup ki hukumat hai aaine par
jhuka hua hai kahin zar-e-ab par sitara

muhit mein ghumte rahenge agar safine
siyah paDne lagega girdab par sitara

suna tha is raat ke muqabil bhi aaina hai
magar dikhai diya hai mahtab par sitara

main hun kisi raat ki siyahi ka rizq lekin
talash karta hun ru-e-ahbab par sitara