charagh KHud hi bujhaya bujha ke chhoD diya
wo ghair tha use apna bana ke chhoD diya
hazar chehre hain maujud aadmi ghaeb
ye kis KHarabe mein duniya ne la ke chhoD diya
main apni jaan mein use jazb kis tarah karta
use gale se lagaya laga ke chhoD diya
main ja chuka hun mere waste udas na ho
main wo hun tu ne jise muskura ke chhoD diya
kisi ne ye na bataya ki fasla kya hai
har ek ne mujhe rasta dikha ke chhoD diya
hamare dil mein hai kya jhank kar na dekh sake
KHud apni zat se parda uTha ke chhoD diya
wo tera rog bhi hai aur tera ilaj bhi hai
usi ko DhunD jise tang aa ke chhoD diya
wo anjuman mein mila bhi to us ne baat na ki
kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhoD diya
rakhun kisi se tawaqqoa to kya rakhun 'shahzad'
KHuda ne bhi to zamin par gira ke chhoD diya
Ghazal
Charagh KHud hi bujhaya bujha ke chhoD diya
Shahzad Ahmad