charagh hun kab se jal raha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
jo bujh gaya to sahar-numa hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
wo baat jo aap kah na pae meri ghazal mein bayan hui hai
main aap ka harf-e-muddaa hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
ghubar hun aap chahe ghaza banaen ya zer-e-pa bichha len
main kab se raqsan hun thak chuka hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
bahut hi shaistagi se har lamha Dubti ek sada ki surat
main KHalwat-e-jaan mein bujh raha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
bala se ye rah-e-shauq meri na ho saki par tumhaari KHatir
misal-e-naqsh-e-qadam bichha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
Ghazal
Charagh hun kab se jal raha hun mujhe duaon mein yaad rakhiye
Pirzada Qasim