charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi
ki jal raha tha sar-e-baam kuchh ziyaada hi
tere bhulane mein mera qusur itna hai
ki paD gae the mujhe kaam kuchh ziyaada hi
main kitne hath se guzra yahan tak aate hue
mujhe kiya gaya nilam kuchh ziyaada hi
malal teri judai ka be-panah lekin
fasurda hai ye meri sham kuchh ziyaada hi
tamam umr ki aawargi baja lekin
laga hai ishq ka ilzam kuchh ziyaada hi
bas ek raat se kaise thakan utarti hai
badan ko chahiye aaram kuchh ziyaada hi
sambhaal apni bahakti hui zaban 'mansur'
tu le raha hai koi nam kuchh ziyaada hi
Ghazal
Charagh ho gaya bad-nam kuchh ziyaada hi
Mansoor Aafaque