charagh-ha-e-takalluf bujha diye gae hain 
uThao jam ki parde uTha diye gae hain 
ab is ko did kahen ya ise kahen didar 
hamare aage se jo hum haTa diye gae hain 
ab is maqam pe hai ye junun ki hosh nahin 
miTa diye gae hain ya bana diye gae hain 
ye raaz marne se pahle to khul nahin sakta 
sula diye gae hain ya jaga diye gae hain 
jo mil gae to tawangar na mil sake to gada 
hum apni zat ke andar chhupa diye gae hain 
charagh-e-bazm hain hum raaz-dar-e-sohbat-e-bazm 
bujha diye gae hain ya jala diye gae hain
        Ghazal
Charagh-ha-e-takalluf bujha diye gae hain
Meer Ahmad Naved

