اردو हिंदी
Charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka | Shaahi Shayari
charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

Ghazal

Charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka

Siraj Aurangabadi

;

charagh-e-mah sin raushan-tar hai husn-e-be-misal us ka
ki chauthe charKH par KHurshid hai aks-e-jamal us ka

sanam ki zulf ke halqe mein hai jyun jim ka nuqta
ajab hai KHush-numa us aariz-e-gulgun pe KHal us ka

ayan hota hai jyun-kar sarw pani ke kinare par
hua yun jalwa-gar aankhon mein qadd-e-naunihaal us ka

juda jab sin hua wo dilbar-e-jadu-nazar mujh sin
juda hota nahin yak aan KHatir sin KHayal us ka

mujhe hai aarzu dil mein teri chah-e-zanaKHdan ki
nahin darkar hauz-e-kausar o aab-e-zulal us ka

giraftar-e-hawas kya lazzat-e-didar kun pawe
juda jo kui hua hai aap sin paya visal us ka

'siraj' ai shola-ru hai kaun sa so main nahin waqif
mujhe kya puchhta hai puchh parwane sin haal us ka