charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar hum ne 
aur us ke baad nikhaara ruKH-e-sahar hum ne 
hamein shuur ne dhoke diye hain rah rah kar 
fareb khae hain danista beshtar hum ne 
sila KHirad ka zamane mein jam-e-zahr sahi 
nikhaar di hai magar azmat-e-bashar hum ne 
nazar ho daulat-e-har-do-jahan pe kya mail 
sameT li hai bahut daulat-e-nazar hum ne 
sada-e-pa ki suni baz-gasht hi har gam 
talash ki hai jahan teri rahguzar hum ne 
nigar-e-gul ne liya nam zer-e-lab tera 
udas chand ko dekha pas-e-shajar hum ne
        Ghazal
Charagh-e-fikr jalaya hai raat bhar humne
Irfana Azeez

