charagh-e-dard ki sham-e-tarab pukarti hai
ek aag si lab-e-dariya-e-shab pukarti hai
adu se jaan bachchi hai na dost bichhDe hain
ye sham-e-girya hamein be-sabab pukarti hai
charagh-e-shauq pe rah rah ke nur aata hai
hawa ba-tarz-e-ruKH-o-chashm-o-lab pukarti hai
shahid-e-ab-o-namak hain so baDhte jate hain
shikast o fath piyaadon ko kab pukarti hai
sadaen de ke bulati hai shah-banu-e-shahr
faqir jis ke hain dekhen wo kab pukarti hai
main jaise din ki tab-o-tab se pareshan hun
ba-waqt-e-sham KHushi ek ajab pukarti hai
hum aise kaun anokhe tulua hote hain
jo hum ko dekh ke duniya ghazab pukarti hai
Ghazal
Charagh-e-dard ki sham-e-tarab pukarti hai
Arshad Abdul Hamid