اردو हिंदी
Charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani | Shaahi Shayari
charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani

Ghazal

Charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani

Ehtisham Akhtar

;

charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani
ki ban ke sail-e-bala ghar mein aa gaya pani

KHulus pyar wafa sab usi ke sath gae
mohabbaton ke nishan sab miTa gaya pani

chaDha hua tha jo dariya utar gaya lekin
hamari unchi imarat Dhaha gaya pani

bujhegi pyas bhala kya zamin ki ashkon se
hamari aankh mein kyun aaj aa gaya pani

hui jo barish-e-gham to badal gae manzar
zara si der mein kya kya dikha gaya pani

Dubo hi dega tumhein ab nadi ka ye sailab
kahan bachoge ki ab ghar mein aa gaya pani

main ab ye shahr-e-hawas chhoD kar kahan jaun
mujhe to ras yahan ka ab aa gaya pani