chamke duri mein kuchh aks nishanon ke
teri aankh mein KHwab-e-jamil jahanon ke
utre aankh mein harf sunahre manzar ke
jage dil mein shauq basit uDanon ke
khule hue darwaze shahar ki aankhen hain
jin mein bhed kai mahjur zamanon ke
kab ban-bas kaTe is shahar ke logon ka
qufl khulen kab jaane band makanon ke
ek fasil khinchi hai dil mein duri ki
jis ke par hain raste dard-KHazanon ke
wo jo raat ko din se badalte rahte the
miT gae dil se naqsh aise armanon ke
Ghazal
Chamke duri mein kuchh aks nishanon ke
Sattar Syed