chaman mein the jo chaman hi ki dastan sunte 
koi nawa koi naghma koi fughan sunte 
qadam na chhoDte rahon ko ta-ba-manzil-e-shauq 
hamari baat jo ye ahl-e-karwan sunte 
tere qalam se to gulzar-e-be-nawa ka qafas 
teri zaban se bhi kuchh haal-e-be-zaban sunte 
hamare dard ka tufan kahan kahan na uTha 
ye shor aap jahan chahte wahan sunte 
ek umr apni bhi guzri hai ai chaman walo 
gulon ke kunj mein andesha-e-KHizan sunte 
kisi ka ranj kisi ka alam kisi ka malal 
ab aur kya tha jo hum zer-e-asman sunte 
gulon se bach ke chale bulbulon se katrae 
wo mera qissa-e-KHunin kahan kahan sunte 
kuchh is mein apna bhi soz-e-bayan tha ai 'jazbi' 
wagarna log kab afsana-e-jahan sunte
 
        Ghazal
Chaman mein the jo chaman hi ki dastan sunte
Moin Ahsan Jazbi

