chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam 
bahaar-e-bagh go yun hi rahi lekin kidhar shabnam 
araq ki bund us ki zulf se ruKHsar par Tapki 
tajjub ki hai jagah ye paDi KHurshid par shabnam 
hamein to bagh tujh bin KHana-e-matam nazar aaya 
idhar gul phaDte the jaib roti thi udhar shabnam 
kare hai kuchh se kuchh tasir-e-sohbat saf tabaon ki 
hui aatish se gul ki baiThte rashk-e-sharar shabnam 
bhala Tuk subh hone do ise bhi dekh lewenge 
kisi aashiq ke rone se nahin rakhti KHabar shabnam 
nahin asbab kuchh lazim subuksaron ke uThne ko 
gai uD dekhte apne baghair-az-baal-o-par shabnam 
na paya jo gaya is bagh se hargiz suragh us ka 
na palTi phir saba idhar na phir aai nazar shabnam 
na samjha 'dard' hum ne bhed yan ki shadi o gham ka 
sahar KHandan hai kyun roti hai kis ko yaad kar shabnam
        Ghazal
Chaman mein subh ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam
Khwaja Meer u0027Dardu0027

