chaman mein rah ke bhi kyun dil ki virani nahin jati
bas itni baat par logon ki hairani nahin jati
muqaddar par hua hun jab se main raazi usi din se
KHushi ho ya ki gham chehre ki tabani nahin jati
farishte bhi hamari qismaton par naz karte hain
magar apni haqiqat hum se pahchani nahin jati
ana ka masala diwangi se kam nahin hota
haqiqat kitni bhi wazeh ho wo mani nahin jati
haqiqat mein wo aaina-sifat insan hota hai
ki tauba kar ke bhi jis ki pashemani nahin jati
ye shikwe aur ye hile-bahane kyun abas kije
jinhen bachna ho un ki pak-damani nahin jati
nazar mein phir raha hai bas kisi ke husn ka manzar
mazaq-e-did ki wo jalwa-samani nahin jati
mohabbat ke liye ab to riya-kari zaruri hai
yahan ahl-e-junun ki qadr pahchani nahin jati
qayamat ki nishani ye nahin to aur phir kya hai
libas achchhe hain lekin phir bhi uryani nahin jati
talluq duriyon se aur bhi mazbut hota hai
'sahar' insan ki lekin KHu-e-nadani nahin jati

Ghazal
Chaman mein rah ke bhi kyun dil ki virani nahin jati
Sahar Mahmood